Roman script

tu nischay to kar kadam to utha

nikal aayega koi raasta

durachariyon par, durachariyon par

tu shri krishn ban kar sudershan chala

tu nischay to kar kadam to utha

nikal aayega koi raasta

kadam to utha

sanskaar pade jisme jaise

vo aachran karega waise

jiski jaisi sangat hogi

uski waisi rangat hogi

nij ichha se kuch nahi hota

har koi karm ka bojh dhota

nij ichha se kuch nahi hota

har koi karm ka bojh dhota

ye ishwar hi jaane, ye ishwar hi jaane

kiske karm me kya hai likha

tu nischay to kar kadam to utha

nikal aayega koi raasta

kadam to utha

badle ki is aag me jalke

rakh de har papi ko badal ke

pag pag jaalim ghar ghar kaatil

kya unki pahchaan hai mushkil

sare jag me paap hai faila

kam jayda har aanchal maila

sare jag me paap hai faila

kam jayda har aanchal maila

do char namo ke, do char namo ke

do char chehro ke pichhe na ja

tu nischay to kar kadam to utha

nikal aayega koi raasta

durachariyon par, durachariyon par

tu shri krishn ban kar sudershan chala

tu nischay to kar kadam to utha

nikal aayega koi raasta

kadam to utha

dharm karam ke aad me bande

rachte hai kaise gorakh dhandhe

mandir aur aashram banwaate

ram rahim ke naam pe khaate

kaun hai dushman, kaun hai pyaare

janmo ke sanjog hai saare

kaun hai dushman, kaun hai pyaare

janmo ke sanjog hai saare

ye lena dena, ye lena dena

ye pana ye khona nahi hai naya

tu nischay to kar kadam to utha

nikal aayega koi raasta

kadam to utha

samjh na paaye ye man bhola

mar ke kewal badle chola

koi kisi se neki karta

jaane kab ka karja bharta

maanav pashu dete hai dikhaai

pashuo me manavta paayi

maanav pashu dete hai dikhaai

pashuo me manavta paayi

kiya tyaag jisne, kiya tyaag jisne

vo koi ho jag me amar ho gaye

tu nischay to kar kadam to utha

nikal aayega koi raasta

durachariyon par, durachariyon par

tu shri krishn ban kar sudershan chala

tu nischay to kar kadam to utha

nikal aayega koi raasta

kadam to utha

Explore this song