Roman script

tu kuja man kuja, tu kuja man kuja

tu kaha me kaha, tu kaha me kaha

kripa drishti mujhpe bhi ho maharaja

anginat chintaao ne ghera

aastha hai jo vyatha hai, woh harega tu

sun meri bhi, koi na mera

tu kuja man kuja, tu kuja man kuja

tu kaha me kaha, tu kaha me kaha

hain bhay bhayankar path me kankar, maharaja

mujh adham se kyun tune mukh phera

me dharatal se pukaru, haath de apna

sun meri bhi, koi na mera

nirdhano ka dhir tu hai, nirbalo ka bal

sun meri bhi, koi na mera o

me jagat me lapata, mera tu pata

me kaha, batla

me ekaaki, de daya ki bhikh raja

hai adhar me, shwaas bhi mera

tu kuja man kuja, tu kuja man kuja

tu kaha me kaha, tu kaha me kaha

me kaha kaha, me kaha kaha

ghanghor hain andhiyaare, sab ruthe hain ujiyare

tan tute, man hare, tan tute, man hare

kismat ke dube taare, koi kiran dikhlaa re

hain sune path saare, hain sune path saare

me ekaaki, de daya ki bhikh raja

kya tujhe aabhaas bhi mera

tu kuja man kuja, tu kuja man kuja

tu kaha me kaha, tu kaha me kaha

Explore this song