Roman script

ek bat bata 

ek bat bata

jab tu mujhko milti hai, har bar nayi lagti hai

kabhi behad sharmati hai, kabhi bikul itrati hai

har bar yeh dil kehta hai, tu badli badli kyu hai

ek bat bata de mujhko, tu itni pagli kyon hai

jab tu mujhko milta hai, dil kapta hai hilta hai

kabhi rokta tu rasta hai, kabhi dur se hi takta hai

kabhi mujhse tu kehta hai, yeh anchal dhalka kyon hai

ek bat bata de mujhko, tu itna pagla kyon hai

dekhe tu kyon mud mudke, bikhre lat kyon udd udke

dekhe tu kyon mud mudke, bikhre lat kyon udd udke

naino se naino ka nata

naino se naino ka nata, tut ta hai kyon jud judke

yeh nain bade chanhcal hai, uthte jhukte har pal hai

jo dekhega bas naina, khoyega apna chaina

kabhi yeh bhi dekh mera mann, yu pyar se chalka kyon hai

ek bat bata de mujhko, tu itna pagla kyon hai

chak dana, chak dana, dane upar dana

dane upar dana

more angan aana

more angan aana, chak dana, chak dana.

tan mai kyu ye san san hai, payal mai kyu chan chan hai

tan mai kyu ye san san hai, payal mai kyu chan chan hai

man ke sare taro mai kyu

man ke sare taro mai kyu, halki halki jhan jhan hai

jab jaage abhilasaai to man ke tar hilae

tab hath ki chudi khanke tab per ki payal jhanke

tu kyu na samjh ye payi, aayi angdai kyu hai 

ek bat bata de mujhko, tu itni pagli kyon hai

chak dana, chak dana, dane upar dana

dane upar dana

more angan aana

more angan aana, chak dana, chak dana.

Explore this song