Roman script

kahtu dham hai aisa dham 

jaha virajega basan 

le lo bhakto shyam ka naam 

ban jayenge bingde kaam 

shyam dhani ki jai 

bolo veer bali ki jai 

sache darwar ki jai 

bolo jag datar ki jai 

tu hi mera babul tu mera saai hai 

tujhse jude mere nate ki duhai hai 

meri bhi bana de bigdi 

re tune sabki banayi, sabki banayi hai 

sabki banayi bigdi sabki banayi hai 

sabki banayi bigdi sabki banayi hai 

bhawar me naiya kali ghata chaai hai 

door hai kinara neend manjhi ko aai hai 

paar kar meri bhi naiya 

tune paar lagayi sabki paar lagayi hai 

paar lagayi naiya paar lagayi hai 

sabki banayi bigdi sabki banayi hai 

jai shri shyam jai shri shyam 

khatu wale jai shri shyam 

shyam hare shyam hare 

khatu wale shyam hare

shyam hare shyam hare 

khatu wale shyam hare

tere siva kisi ko main nahi janu 

tujhko hi poju tujhko hi manu 

tere siva kisi ko main nahi janu 

tujhko hi poju tujhko hi manu

bichwo ki aan rakh 

bindiya ki maan rakh 

laaz rakh sindoor ki 

chudiyo ka dhyan rakh 

teri hi kripa se saji ye kalai hai 

jodi radha mohan ki tune hi milayi hai 

laaz bacha de re meri 

o tune sabki bachayi hai, sabki bachayi hai 

laaz bachayi sabki laaz bachayi hai 

sabki banayi bigdi sabki banayi hai 

hatho me le nishan man me prabhu ka dhyan 

sanwarar hoke bhakto badhte badhte chalo 

dekha hua ye barso ka panth mera 

mandir kabhi na tha itni door tera 

dekha hua ye barso ka panth mera 

mandir kabhi na tha itni door tera 

kaha tera gaon re thake mere panw re 

le chal sahara deke tu hi mujhe sanwre 

hibde ki hook mere hotho pe aai hai 

hare ne sahayta tujhse hi paai hai 

meri bhi badha de shakti 

re tune sabki badhayi hai, sabki badhayi hai 

sabki badhayi shakti sabki badhayi hai 

sabki banayi bigdi sabki banayi hai 

jai shri shyam jai shri shyam 

jai shri shyam jai shri shyam 

lete lete shyam ka naam 

pahunch gaye khatu dham 

he sankat mochan se triran de 

sanjivan si aushdhi raam baan de 

ya meri bhi jivan lila shesh kar 

ya hare hare jivan ka pran de 

pran de, pran de 

hare hare jivan ka pran de 

aanch teri ladli ke ghar tak aayi 

diye aur aandhi me kante ki ladayi hai 

diye ko jita wazi 

re tune sabko jitayi hai, sabko jitayi hai 

sabko jitayi wazi sabko jitayi hai 

sabko jitayi wazi sabko jitayi hai 

tu hi mera babul tu hi mera saai hai 

tujhse jude mere nate ki duhai hai 

meri bhi bana de bigdi 

re tune sabki banayi hai, sabki banayi hai 

sabki banayi bigdi sabki banayi hai 

shyam dhani ki jai 

bolo veer bali ki jai 

sache darwar ki jai 

bolo jag datar ki jai 

bolo shish ke dani ki jai 

bolo khatu naresh ki jai 

shyam dhani ki jai 

bolo veer bali ki jai 

sache darwar ki jai 

bolo jag datar ki jai 

bolo shish ke dani ki jai 

bolo khatu naresh ki jai

Explore this song