Roman script

utha utha jaga jaga 

ho gaye poore chhe

baza alarm khatam aaram 

maa chillaati re

aankhe abhi khuli nahi 

sleepy sleepy main

fast fast plus brush karo naa

practice ko bhi jaana hai 

stamina ko badhana hai

daud bhaag ke chakkar me 

pressure cooker ban gaye re

garma garam tifin bana 

fata fat taiyyar ho ja

ghis ghis ke ghis jaao re 

routin me phir pees jao re

o o hai jaldi jaldi

subah subah ki jhanjat ne kya halat kardi

hurry hurry ghas ghas ghas

hurry hurry gate on bus

hurry hurry hurry hurry

bhaag daud me fas gaya pyara 

pathshala ne peesa aadha

sapne kam tension jyada 

tu bechara main bechara

tu bechara main bechara

kabhi main jeeta kabhi main hara 

bojh ka mara main bechara

subah subah duba duba mushkil daant se

role pole pe khada huaa present bola main

naughty naughty crazy crazy humne masti ki

kyu einstein hum ko bana rahe hai

disiplin jo humne toda

rules ka bum humpe foda

lunch me halla gulla re

fast forward me sab khaa lo re

o o o time hai kam

strech karo na hum ko like a chingam

hindi ki bindi hasti hai

class me full to masti hai

ye teacher bhi bindaas hai

hum sabka ye khaas hai

maths padho ab koi na chara

angel shengal kitna sara

time ka circle badhata bara

tu bechara main bechara

tu bechara main bechara

kabhi main jeeta kabhi main hara

bojh ka mara main bechara

history ki mistry se khele hum zara

sala deep hai unique hai aur boring hai bada

history pe dhool udaye

yaro sang kare hasaye visit without yoga

yo oo oo masti ke packet

yo oo oo ban jaye rocket

sports me gold medal laao

dance me kamar matkao

karate me black belt laao

har cheez me number one aao

school ki chhutti huaa chhutkara

dauda bhaga main to hara

shyam ko homework kitna sara

tu bechara main bechara

tu bechara main bechara

mummy ki aankhon ka tara

bojh ka mara main bechara

tu bechara main bechara

tu bechara main bechara

Explore this song