Roman script

treta ke shree ram chandra jee, dwapar ke ghanshyam

narayana avataree dono, dono ke rang shyam

kis avataree shyam ko khoje, boleree pyaree ankhiya

ram shyam hai shyam ram hai, ek rup do ankhiya

arey kaun syam khojey too ai bawariya

ek shyam dasharath ke lallana, ek baney krishna kanhaiya

arey kaun shyam

ek shyam lanka pati tare, ek bane kans maraiya

arey kaun shyam

ek shyam ban me mrig mare, ek bane ras rachaiya

arey kaun shyam

kavee dienesh kahe shyam sundar do, nainan bich basiya

arey kaun shyam

Explore this song