Roman script

tu dhundhta hai jisko basti me aake ban me

wo saanvra salona rahta hai, rahta hai tere man me

tu dhundhta hai 

masjid me mandiro me parvat ki kankado me

masjid me mandiro me parvat ki kankado me

nadiyo ke paaniyo me, gahre samandro me

lehra raha hai wo hi, khud apne baankpan me

khud apne baankpan me

wo saanvra salona rahta hai, rahta hai tere man me

tu dhundhta hai 

har jarre me rama hai, har phul me basa hai

har jarre me rama hai, har phul me basa hai

har chij me usika jalva jhalak raha hai

harkat wo kar raha hai, har ik ke tan badan me

har ik ke tan badan me

wo saanvra salona rahta hai, rahta hai tere man me

tu dhundhta hai

Explore this song