Roman script

tu chhupi hai kaha mai tadapta yaha

tere bin fika fika hai dil ka jaha

tu chhupi hai kaha mai tadapta yaha

tu gayi ud gaya rang jane kaha

tere bin fika fika hai dil ka jaha

tu chhupi hai kaha mai tadapta yaha

dil ki mahfil mein jab na mujhe tum mile

sans leti hu aa ke is sunsan me

in baharo jab naa tujhe pa saki 

in baharo jab naa tujhe pa saki

to tadapatee hu iss viran me

tere bin fika fika hai dil ka jaha

tu chhupi hai kaha mai tadapata yaha

ye najare divaani tu koi hui

mere rangin sapano ke rango me

umango me jab na tujhe pa saki 

umango me jab na tujhe pa saki

dhundhata hu mai gum ki tarango me

tere bin fika fika hai dil kaa jaha

tu chhupi hai kaha mai tadapta yaha

tu chhupi hai kaha

mai chhupi hu piya

teri dhadakan me teri har sans me

teri har aas me

mai chhupi hu kaha mera ye raaj sun

dard ke haatho ghum se bhara saaj sun

mere rote huye dil ki aawaaj sun

aa jab talak tera meraa na hoga milan

mai jamin aasman ko hilaati rahungi

aakhari aas tak aakhari sans tak

khud tadpungi aur tadpati rahungi

ye kaun ghunghru jhanka ye kaun chand chamka

ye dharati pe aasman aa gaya punam ka

ye kaun phul mehka ye kaun panchhi chehka

mehfil me ek khushbu udi dil jo mera behka

lo tan me jaan aayi hotho pe tan aayi

meri chakori chaandani me karke snaan aayi

bichhada wo mit aaya jivan ka git aaya

do aasmao ke milan din puneet aaya

surat hai mere sapano ki tu sohini

jamuna tu hi hai tu hi meree mohini

tere bin fika fika hai dil kaa jaha

tu chhupi hai kaha mai tadapta yaha

tu chhupi hai kaha

Explore this song