Roman script

tham sa gaya hai ye sama

aaye jo samne ho tum

bas ik nigah me mujhe

apna bana gaye ho tum

tera ehsaas yu dil ko hai chhu raha

khwab hai ya mujhe hai pyar ho raha

hota hai pyar kya jaana nahi kabhi

dekha jo tujhe yu laga

tumse hi hai ye zindagi

teri panaaho me aake mujhe laga

ke jaise meri raaton ko

mili hai subah nayi koi

ye tera hai asar

hai dil jo besabar

ye dooba dooba rehta hai

yaadon me teri ab toh har pehar

khud ko bhula ke mai

tujhme hi kho chala

ke tere hi khyaalo me hi

mai karne laga hu ab basar

tham sa gaya hai ye sama

aayi jo samne ho tum

bas ik nigaah mein mujhe

apna bana gaye ho tum

tera ehsaas yun dil ko hai chhu raha

khwab hai ya mujhe hai pyaar ho raha

Explore this song