Roman script

chorus:

naachyo maaichang, teemee damfoo ko taalay maa -2

may teemee layi teey malayi, bihe garchhoo aune saalayi maan -2

sultan:

teri yeh surmayi aankhen -2

panaahon mein bulaati hain

teri yeh surmayi aankhen

panaahon mein bulaati hain

kahin se main guzarta hoon -2

yahin tak kheench laati hain

chitra:

teri yeh pyaar ki khushboo -2

mujhe har pal sataati hai

kahin se main guzarti hoon -2

hazaaron gul khilaati hai

hm hm hm hm, hm hm hm hm

chitra:

yeh aankhen aaina dil ka

hazaaron rang mein dhal ke

yeh jhukti hain haya ban ke

yeh uthti hain duaa ban ke

sultan:

yeh aankhen chhanv mein apni o 

yeh aankhen chhanv mein apni

mujhe aksar sulaati hain

kahin se main guzarta hoon -2

yahin tak kheench laati hain

chitra:

na na na na, na na na na

sultan:

arrey tu bholi bhali re -2

thaaro gor bandh loon mhaaro

all:

hoy, arrey tu bholi bhali re -2

thaaro gor bandh loon mhaaro

sultan:

tere honthon se geeton ka

ke jab saawan barasta hai

jiya mein haule haule se

pyaar ka geet banta hai

chitra:

yeh rut ehsaas mein meri kahin narmi jagaati hai

kahin se main guzarta hoon

yahin tak kheench laati hain

sultan:

teri yeh surmayi aankhen -2

panaahon mein bulaati hain

kahin se main guzarta hoon -2

yahin tak kheench laati hain

chorus:

naachyo maaichang, teemee damfoo ko taalay maa

may teemee layi teey malayi, bihe garchhoo aune saalayi maan

naachyo maaichang, teemee damfoo ko taalay maa

Explore this song