Roman script

teri yaad mere dimaag me aise hai basi

na hi behte hai aansu, na hi aati hai hansi

kyu tu gayi aur kaha pe gayi ye sab mujhko nahi pata

mujhko toh bas koi yahi bata de ki meri kya thi khata

teri yaad hai har jagah

teri yaad hai har jagah, nahi milna humara bewajah

aashiqi tujhse yuhi nahi hai, koi na koi hai wajah

aashiqi tujhse yuhi nahi hai, koi na koi hai wajah

teri yaad hai har jagah

hona tha jo ho gaya, khona tha jo kho gaya

pyaar me tere pad ke pagal hona hi tha ho gaya

ab yahi deewanapan sar chadh ke bole mai kya karu

ik chhota sa sawaal hai main jiyu ya maru

tanha katega kaise ye safar mujhme zinda tu hai is qadar

jis ehsaas ko lafzo me kehna hai mumkin nahi ye ab mera

aashiqi tujhse yuhi nahi hai, koi na koi hai wajah

teri yaad hai har jagah

teri yaad mere dimaag me aise hai basi

na hi behte hai aansu, na hi aati hai hansi

kyu tu gayi aur kaha pe gayi ye sab mujhko nahi pata

mujhko toh bas koi yahi bata de ki meri kya thi khata

katra katra tut raha hu, ishq me tere dub raha hu

bikhre din hain, beparwah raate

hai kashish ye kuch aisi bepanah

aashiqi tujhse yuhi nahi hai, koi na koi hai wajah

teri yaad hai har jagah, teri yaad hai har jagah

Explore this song