Roman script

teri meharbani hogi teri meharbani

haye badi meharbani haye badi meharbani

chilman utha ke surat dikha ke mera salam le 

haye mera salam le 

fir muskura ke najre jhuka ke

dil ka paiyam le

are dil ka paiyam le, haye mera salam

dil ka paiyam najro se kaam le le

teri meharbani hogi teri meharbani

haye badi meharbani, haye badi meharbani

teri meharbani hogi ha teri meharbani

haye badi meharbani, haye badi meharbani

o bekarar mat baar baar yu mera naam le

are mat mera naam le

o kare intejar gam se na haar

himmat se kaam le, are himmat se kaam le

sun ye paiyam dil apna thaam

himmat se kaam le 

teri meharbani hogi teri meharbani

haye badi meharbani, haye badi meharbani

sabkuch luta ke husn ki sarkar ke liye

meri sarkar ke liye

kab se taras raha hu mai didar ke liye

tere didar ke liye

o duniya badal chuki hai dile bekarar ki

aankho ko aur dena saja intejar ki

sabkuch luta ke husn ki sarkar ke liye

meri sarkar ke liye

jab kabhi teri judai mujhe tadpaati hai

karvate lete huye raat gujar jati hai

tere jalvo ki kasam

apni mohabbat ki kasam

har ghadi dil se yehi ek sada aati hai

teri meharbani hogi teri meharbani

haye badi meharbani, haye badi meharbani

majburiya hai ishq me nakamiya nahi

are nakamiya nahi

lekin mujhe kabul badnamiya nahi

teri badnamiya nahi

tujhko khabar nahi hai ye manjil nasib hai

gam jiska ho nasib vo khusnasib hai

majburiya hai ishq me nakamiya nahi

are nakamiya nahi

apni betab tamannao ka ijhar na kar

jabat kitab nahi dil me to fir pyar na kar

ae dekh diwane yu tohin mohabbat karke

khud gunahgar na ho mujhko gunahgare na kar

sun teri meharbani hogi teri meharbani

haye badi meharbani, haye badi meharbani

ae jane intjaar ye takrar chhod de

are takrar chhod de, aisa na ho ki dam 

tera bimar tod de, tera bimar tod de

ho ishq rushwai se darta hai na badnami se

aahe aag kuch badh jati hai

khuch nakami se, duniya kahegi kya

are nakam soch le, are nakam soch le

aagaj ishq hai abhi anjam soch le

are anjam soch le

o tujhko malum nahi 

ishq kise kehte hai

aahe hai jale lakh magar, ashq nahi behte hai

laila majnu ke fasane ki kasam

heer ranjhe ke jamane ki kasam

shree pharhad ki chahat ki kasam

wam ijarat ki mohabat ki kasam

o bewfa bewfa bewfa haye bewfa 

duniya ki bate pe na ja

todakar dil ko qayamat na utha

todakar dil ko qayamat na utha

tu bhi khudgarj na ban

mujhko bhi laila na bana

raaz ko raaz hi rakh

dekh fasana na bana

raaz ko raaz hi rakh

dekh fasana na bana

jidd na kar jidd na kar jidd na kar

hosh me aana na fariayad na kar

gam se gabrakar mohabbat ko tamasha na bana

teri meharbani hogi teri meharbani

haye badi meharbani, haye badi meharbani

chilman utha ke surat dikha ke mera salam le 

are mera salam le 

o bekrar mat baar baar yu mera naam le

are mat mera naam le

mera payam dil ka salam najro se kaam le le

teri meharbani hogi teri meharbani

haye badi meharbani, haye badi meharbani

Explore this song