Roman script

teri hasi ne kuch aisa gajab dil pe dhaya hai 

ho palke jhuki rukh pe bhigi lato ka bhi saya hai 

shrmo haya ne teri ada ne mujhko diwana banaya hai 

main bhi thi bechain jab se tu dil me samaya hai 

tere khyalo se din raat maine sajaya hai 

ghabrayi si thi tujhe kho na du main 

pake tujhe chain aaya hai 

aise mujhe dekho na tum madhosh ho na jaye hum 

badhne lagi ye bekhudi mujhko sanam tu rok le 

had se agar bahke kadam tujhko kasam tu rok de 

ho na jaye koi khata ha thoda sa ho ha fasala 

teri hasi ne kuch aisa gajab dil pe dhaya hai 

ho palke jhuki rukh pe bhigi lato ka bhi saya hai 

ghabrayi si thi tujhe kho na du main 

pake tujhe chain aaya hai 

aise mujhe dekho na tum madhosh ho na jaye hum

sulge hai tan tute badan kaise bujhe dil ki agan 

uf ye tadap uf ye jalan kaape hai kyu fir bhi ye man 

chhodo shram hato jao na ha baho me aa na baba na 

teri hasi ne kuch aisa gajab dil pe dhaya hai 

ho palke jhuki rukh pe bhigi lato ka bhi saya hai 

shrmo haya ne teri ada ne mujhko diwana banaya hai 

main bhi thi bechain jab se tu dil me samaya hai 

tere khyalo se din raat maine sajaya hai 

ghabrayi si thi tujhe kho na du main 

pake tujhe chain aaya hai

aaja sanam pyar kare khaye kasam ikrar kare

Explore this song