Roman script

in budhe pahado par 

kuch bhi to nahi badla 

in budhe pahado par 

in budhe pahado par 

kuch bhi to nahi badla 

in budhe pahado par 

sadiyo se giri barfe 

sadiyo se giri barfe 

aur un par barsti hai 

har saal nayi barfe

in budhe pahado par 

ghar lagte hai kabaro se 

ghar lagte hai kabaro se 

khamosh safedi mein 

kutbe se tarkho ke 

na aab tha na dani 

na aab tha na dani 

alkhok ki wadi mein 

bhedo ki gayi jane

kuch waqt nahi gujra 

nani ne bataya tha 

sarbsab dhalano par 

basti thi gadhriyo ki 

aur bhedo ke rewad the 

unche kosaro ke 

unche kosaro ke 

girte huye daman mein 

jangal hai chala jangal hai chala 

jangal hai chala

sab laad se rahte the 

sab laad se rahte the 

jab dhup chamati thi 

kuchh aur dahakate hai 

har janaro mein aag lagne se 

marte hai hajaro mein 

in budhe pahado par 

in budhe pahado par 

kuch bhi to nahi badla 

in budhe pahado par 

chup chaap andhere mein 

akasar us jangal se 

ek bhediya aata tha 

ek bhed uthakar 

le jata tha jangal mein 

aur subah ko bas ek 

khal padi milti thi 

har sal umadta hai 

dariya pe barish mein 

ek daura sa padta hai 

dariya ko bahana hai 

ab ke tugayaniy mein 

kuch dub gaye ganv

kuch gal gaye pani mein 

chadhati rahi kurbani 

bhedo ki gayi jane

fir sare gadhariyo ne 

us bhediye ko dhundha 

aur maar ke laut aaye 

us subah ko jangal mein 

aur subah ko jangal mein 

do aur mili khale 

nani ki agar mane to 

bhediya jinda hai 

jayegi abhi jane 

jayegi abhi jane 

in budhe pahado par 

kuch bhi to nahi badla 

in budhe pahado par 

in budhe pahado par

Explore this song