Roman script

teri ankhon ka andaz kehta hai

tu pyar mujh se hi karta hai

teri baton ka andaz kehta hai

tu yar mujh pe hi marti hai

tere pas main aon tujhe pyar sikhaon

tujhpe jan lutaon jan-e-jana

mera dil dhadkaya mujhe ishq sikhaya

mujhe apna banaya tu deewana

vada kiya hai kasam hum ne li hai

na hum honge mil ke juda

teri ankhon ka andaz kehta hai

tu pyar mujh se hi karti hai

teri baton ka andaz kehta hai

tu yar mujh pe hi marta hai

naya silsila hai nayi dosti hai

naya dilruba hai nayi dillagi hai

khule asmano ke neeche mile hain

mohabbat mein do dil jawan

teri sanson ka har saz kehta hai

tu pyar mujh se hi karta hai

uff bahekne ka andaz kehta hai

tu yar mujh pe hi marti hai

na main hosh mein hun na tujhko khabar hai

ho meri chahaton ka ye tujh pe asar hai

chalo ek duje mein aise samaye

ke dekhe na hum ko jahan

tere khwabon ka har raz kehta hai

tu pyar mujh se hi karta hai

haay lipatne ka andaz kehta hai

tu yar mujh pe hi marti hai

tere pas main aon tujhe pyar sikhaon

tujh pe jan lutaon jan-e-jana

o mera dil dhadkaya mujhe ishq sikhaya

mujhe apna banaya tu deewana

vada kiya hai kasam hum ne li hai

na hum honge milke juda

teri ankhon ka andaz kehta hai

tu pyar mujh se hi karti hai

han teri baton ka andaz kehta hai

tu yar mujh pe hi marta hai

Explore this song