Roman script

tere karan sabko chhoda preet nibhana ho

main tere charno ki dasi bhul na jana ho

duniya ne mujhe thukraya tune sambhala

jakhmi dil par marham rakha dekha bhala 

bite din bite ab aaya naya jamana 

ho naya jamana ho 

main tere charno ki dasi bhul na jana ho

andhiyara tha tune ghar mein diya jalaya

dil ki ganga aur jamana ko tune milaya

janam janam ka pyasa manwa pyas bujhana ho

pyas bujhana ho

ho janam janam ka pyasa manwa pyas bujhana ho

pyas bujhana ho

tere karan sabko chhoda preet nibhana ho

main bhola bhatka sa tune rah dikhai

aur mujhpar ulfat ki daulat tune lutai

jivan sath banke ab hai jivan bitana

ho jivan bitana

tere karan sabko chhoda preet nibhana ho

main tere charno ki dasi bhul na jana ho

Explore this song