Roman script

tere chehre ko mila rang gulabo wala

tere chehre ko mila rang gulabo wala

hai nasha teri nigaho me sharabo wala

tere chehre ko mila rang gulabo wala

hai nasha teri nigaho me sharabo wala

tere chehre ko mila rang 

dil-e-betaab thahar aur jara der thahar

dil-e-betaab thahar aur jara der thahar

silsila tut hi jayega hizabo wala

silsila tut hi jayega hizabo wala

tere chehre ko mila rang gulabo wala

dil ki har baat ka ijhaar jaruri to nahi

dil ki har baat ka ijhaar jaruri to nahi

teri nazro ne kiya kaam jawabo wala

teri nazro ne kiya kaam jawabo wala

hai nasha teri nigaho me sharabo wala

tere chehre ko mila rang

wahi surat hai wahi soch me dubi aankhe

wahi surat hai wahi soch me dubi aankhe

hubahu tu mera mehbub hai khwabo wala

hubahu tu mera mehbub hai khwabo wala

tere chehre ko mila rang gulabo wala

ek muddat se hai aawara tabiyat apni

ek muddat se hai aawara tabiyat apni

dil ka andaz wahi khana kharabo wala

dil ka andaz wahi khana kharabo wala

hai nasha teri nigaho me sharabo wala

tere chehre ko mila rang

dil ke har dard ko 

hans hanske saha hai humne

dil ke har dard ko 

hans hanske saha hai humne

hai sabak ye bhi 

mohabbat ki kitabo wala

hai sabak ye bhi 

mohabbat ki kitabo wala

Explore this song