Roman script

tera chaand chehra banaane ki khaatir 

hazaaro sitaaro ko toda gaya hai 

tere is badan ko sajaane ki khaatir 

to laakho gulaabo ko joda gaya hai 

o tujhe dil ke najdik laane ki 

khaatir tere naam se naam joda gaya hai 

tere baajuo mein samaane ki khaatir 

zamaane ki rasmo ko toda gaya hai 

tera chaand chehra banaane ki khaatir 

hazaaro sitaaro ko toda gaya hai 

chura to liya hai mere dil ko lekin 

ye dar hai kahin tu nazar na chura le 

agar tujhko shaq hai mere pyaar par to 

meri jaan lekar abhi aazma le 

tere lab pe surkhi jagaane ki khaatir 

kanval ki rago ko nichoda gaya hai 

tujhe dil ke najdik laane ki 

khaatir tere naam se naam joda gaya hai 

tera chaand chehra banaane ki khaatir 

hazaaro sitaaro ko toda gaya hai 

tere haath mein vo lakiren to hongi 

jinhen mere dil ka pata yaad hoga 

vo dil jo tumhaari vafa ka ho kaayal 

use aur duniya mein kya yaad hoga 

teri yaad mein sab bhulaane ki khaatir 

ye chehra saari duniya se moda gaya hai 

tera chaand chehra banaane ki khaatir 

hazaaro sitaaro ko toda gaya hai 

zamaane ki rasmo ko toda gaya hai 

kanval ki rago ko nichoda gaya hai 

tumhaari nigaaho ko odha gaya hai

hazaaro sitaaro ko toda gaya hai

Explore this song