Roman script

suraj roj nikalta hai badalo me mil jata hai 

din ka ujala har sham tarikiyo me dhal jata hai 

kaliya chamn me khilti hai phul ban jati hai 

titaliya phulo par aati hai dur nikal jati hai 

haye tum nahi aate tumhari yad aati hai 

haye tum nahi aate tumhari yad aati hai 

satati hai rulati hai behad tadpati hai 

haye tum nahi aate tumhari yad aati hai 

kyun pyar ho jata hai dil me sama jata hai 

kyun ek ajanbi aata hai dil ka sukun le jata hai 

kyun tum ko taras nahi aata mujh par mujh par 

kyun dil tumhara ban gya hai pathar pathar 

satati hai rulati hai behad tadpati hai 

haye tun nahi aate tumhari yad aati hai 

aaj din hai hasin muskurati rat hai 

meri jaan mera pyar mere sath hai sath hai 

ye kaisi betabi hai kyun dil machalta hai 

na pakdo mera hath sach dil rukta hai rukta hai 

kya jadu kar dala kya julam mera apna tha 

mera dil mera apna tha tumne apna kar dala

satati hai rulati hai behad tadpati hai 

haye tun nahi aate tumhari yad aati hai  

pyar hak hai pyar na hak bhi hai 

pyar hosh hai pyar madhosh bhi hai 

pyar aag hai pyar paani bhi hai 

pyar bandgi hai na farmani bhi hai 

pyar hakikat hai pyar  khani bhi hai 

aao is pyar me ji le insan ban kar 

kuch khushiya hum tumhe de kuch tum hume do 

insan ban kar suraj roj nikalta hai 

badalo me mil jata hai din ka ujala 

har sham tarikiyo me dhal jata hai 

kaliya chamn me khilti hai phul ban jati hai 

titaliya phulo par aati hai dur nikal jati hai

Explore this song