Roman script

suno suno, suno ye kya kahta hai mausam

laharo per ye hawa ki sargam

yahi ki mausam hua jawaa hai

aaya milan ka madhur samaa hai, suno suno

kyu in anjani raaho par 

bhatke raahi aan mile hai

kyu sawan ne li angdayi 

kyu jivan me phul khile hai

suno suno, suno ye badal kyu jhuk aaya

kyu dharti ka mukh sharmaya

kyunki ye mausam hua jawa hai

aaya milan ka madhur samaa hai, suno suno

aankho ki jholi me bhar lu

mai barkha ke nirmal moti

aur saja du unme tumko

jinki mere nayan me jyoti

suno suno, suno ye man ki manmani kyu

aaj huyi mai diwani kyu

kyunki ye mausam hua jawa hai

aaya milan ka madhur samaa hai, suno suno

Explore this song