Roman script

suno suno suno meri jubani, suno suno suno amar kahani

aate hain ji jate hain ji, kaun aate hain

iss dharati par kabhi kabhi aise log bhi aate hain

rehti duniya tak jo apna naam amar kar jate hain

suno suno suno meri jubani, suno suno suno amar kahani

attharah sau sattavan ka jamana yad karo, jamana yad karo

british jalimo ka fasana yad karo, fasana yad karo

firangi ne aate jate hamla kiya aisa

khun hamara hokar pani bah sakta hai kaise

hame kayar samajh kar fauj unaki iss tarah tuti

kunvari kya suhagan kya sabhi ki aabru luti

ek vir dharmaraj talvar le ke aaya

woh bharat maa ka beta samane aaya

kuda woh maidan me lekar nyay ki talvar

dher ho gayi ret jaise dushman ki divar

toh kya videshi dum dabakar bhag gaye

bhage nahi haar gaye

hare huye sipahi par gora afasar baras pada

aur kaha samane se nahi toh pith me chhuri maaro

jit ki khushi me soye huye insan par

firangi sipahio ne hamla kar diya

firangio ne pichhe se unko aise pakda

bade dhokhe se aakar sher ko janjiro me jakda

ghana woh ped jo deta tha sare ganv ko chhaya

usi pe phansi dene ko dharmaraj ko latakaya

shahid toh mar ke bhi jite rehte hain

isiliye toh amar unako log kehte hain

kate huye iss ped ko dekho gadi hai jo talvar

abb tak isme baki hai aajadi ki jhankar

Explore this song