Roman script

suno sunata hu tumhe ek amar kahani

sharvan ki amar kahani

maat pita ke liye jisne di kurbani, kurbani

maat pita ke liye jisne di kurbani, kurbani

nainhin maa baap ke naino ka tha wo ujiyara

khel kud ko bhul chuka tha wo baalak bechara

maat pita ki

maat pita ki sewa hi ko jivan jisne jana

unke charno ki maati ko chandan jisne mana

suno sunata hu tumhe ek amar kahani

sharvan ki amar kahani

maat pita ke liye jisne di kurbani, kurbani

kaandhe ka var daal chala wo beta aagya kari

mata pita ke bojh ko samjha phulo se kam bhari

tufano ne rasta roka

tufano ne rasta roka vipdao ne pag pag toka

bhukh pyas ne hosh udaye

bhukh pyas ne hosh udaye

sharvan magar badhta hi jaye

sharvan magar badhta hi jaye

kadam kadam par thokar khata

har thokar ki hansi udata

ek lagan thi ek hi dhun thi

ek lagan thi ek hi dhun thi

maat pita ke band aankho ke

jab tak khule na dware

daata de vardan ye balak tab tak ji na haare

suno sunata hu tumhe ek amar kahani

sharvan ki amar kahani

maat pita ke liye jisne di kurbani, kurbani

chalte chalte pahunch gaya ek din saryu ke kinare

bilakh rahe the budhe mata pita pyas ke marae

kaanwar ko kaandhe se utara

kaanwar ko kaandhe se utara

gaya nadi ke tat jal bharne

gaya nadi ke tat jal bharne

pani bharte bharte aakar ghera honi ke chakkar ne

khel rahe the dashrath van me kahin shikar

samjhe saryu tat par pani peeti hai

hirno ki daar

baandh nishana tear chalaya

huyi ek aisi bhul

Explore this song