Roman script

soja chanda raaja soja chal sapano me chal
nind ki pariya pahan ke aai pairo me paayal
tujhako apne naram paro par lekar jayegi
sone kaa ik des hai jisaki sair karaayegi
dharati se kuchh dur kahi saat samundar paar
aakaasho ke bich hai sapno ka sansaar
vo zami hai pyar ki vaha sirf pyar hai
mere chaand ja vahaa tera intazaar hai
soja chanda raaja soja chal sapano me chal
nind ki pariya pahan ke aai pairo me paayal
jin pariyo ke husn pe jannat ho qurabaan
un pariyo ke desh me hoga tu mehamaan
hai nayi kahaaniya jo tujhe sunaayegi
tere saath naachegi, tere saath gaayegi
soja chanda raaja soja chal sapano me chal
nind ki pariya pahan ke aai pairo me paayal 
tujhako apane naram paro par lekar jayegi
sone kaa ik des hai jisaki sair karaayegi
lyrics typed by: neha gupta

Song details

Song video

Watch on YouTube

actor: Sanjay Dutt, Jackie Shroff, Hrithik Roshan, Preity Zinta, Puru Raajkumar, Sonali Kulkarni