Roman script

soi hai kahaan jaa kar takdir mohabbat ki

ab maut hi baaki hai tadbir mohabbat ki

soi hai kahaan jaa kar takdir mohabbat ki

ab maut hi baaki hai tadbir mohabbat ki

soi hai kahaan jaa kar

manzil hai wahi apni mil jaavo jahaan hamko

maalum nahi lekin manzil kaa nishaan hamko

manzil kaa nishaan hamko

unke liye phirti hai zanjir mohabbat ki

ab maut hi baaki hai tadbir mohabbat ki

soi hai kahaan jaa kar

unko to tere dukh ki parvaah nahi koi

marne ke sivaa ai dil ab raah nahi koi

ab raah nahi koi

mitti hai to mitne de tasvir mohabbat ki

ab maut hi baaki hai tadbir mohabbat ki

soi hai kahaan jaa kar

Explore this song