Roman script

aasmaan hai neela kyun, paani geela geela kyun

gol kyun hai jameen

sukh mein hai narmi kyun, aag mein hai garmi kyun

do aur do paanch kyun nahi

ped ho gaye kam kyun, teen hai yeh mausam kyun

chaand do kyun nahi

duniya mein hai junge kyun, behata laal rang kyun

sarhadein hai kyun har kahin

socha hai, yeh tumne kya kabhi

socha hai, ki hai yeh kya sabhi

socha hai, socha nahi toh socho abhi

behati kyun hai har nadi, hoti kya hai roshani

barf girati hai kyun

ladate kyun hai ruthate taare kyun hai tutate

baadalon mein bijali hai kyun

socha hai, yeh tumne kya kabhi

socha hai, ki hai ye kya sabhi

socha hai, socha nahi toh socho abhi

sannata sunayi nahi deta, aur hawayen dikhayi nahi deti

socha hai kya kabhi, hota hai ye kyun

aasmaan hai neela kyun, paani geela geela kyun

gol kyun hai jameen

sukh mein hai narmi kyun, aag mein hai garmi kyun

do aur do paanch kyun nahi

ped ho gaye kam kyun, teen hai yeh mausam kyun

chaand do kyun nahi

duniya mein hai junge kyun, behata laal rang kyun

sarhadein hai kyun har kahin

socha hai, yeh tumne kya kabhi

socha hai, ki hai yeh kya sabhi

socha hai, socha nahi toh socho abhi

socha hai, yeh tumne kya kabhi

socha hai, ki hai yeh kya sabhi

socha hai, socha nahi toh socho abhi

Explore this song