Roman script

ye zamin aasmaan ye sadi ye jahaan

ye chaman ye fizaa kuchh rahe na rahe

pyaar to hameshaa rahegaa

pyaar to hameshaa rahegaa

mere dil me kaun hai dhadakano me kaun hai

kaun hai nazar me sirf tum sirf tum sirf tum

ankhon se milti hain aankhe

ho jaati hain dil ki saari baaten

betaabi me din katte hain

karvat lekar katti saari raaten

harpal badhtaa jaae isme aisaa hai nashaa

dil ne ye pukaaraa aur diwaanon ne kahaa

pyaar to hameshaa rahegaa 

pyaar to hameshaa rahegaa

na duniyaa ki daulat maange

naa chaandi maange naa maange sonaa

jaati dharam mazahab naa maane

ho jaataa hai jab jisse hai honaa

vedon me likhaa hai aur granthon me padhaa

sabne hai ye maanaa aur sabko hai pata

pyaar to hameshaa rahegaa 

pyaar to hameshaa rahegaa

mere dil me kaun hai dhadakano me kaun hai

kaun hai nazar me sirf tum sirf tum sirf tum

ye zamin aasmaan ye sadi ye jahaan

ye chaman ye fizaa kuchh rahe na rahe

pyaar to hameshaa rahegaa

pyaar to hameshaa rahegaa

pyaar to hameshaa rahegaa

Explore this song