Roman script

shikva na kar gila na kar

ye duniya hai pyare, yaha gam ke mare, tadapte rahe

shikva na kar gila na kar

ye duniya hai pyare, yaha gam ke mare, tadapte rahe

shikva na kar gila na kar

khiza is gulista me aati rahi hai

hava sukhe patte udati rahi hai

yaha phul khil ke, baharo se mil ke, bichdte rahe

shikva na kar gila na kar

yaha tere ashko ki kimat nahi hai

rahm karna duniya ki aadat nahi hai

kisi ne na dekha, yaha khun ke ansu, dhalakte rahe

shikva na kar gila na kar

yaha ka hai dastur khamosh rahna

jo guzri hai dil pe kisi se na kahna

ye din kaat has ke, yaha log bas ke, ujdate rahe

shikva na kar gila na kar

ye duniya hai pyare, yaha gam ke mare, tadapte rahe

shikva na kar gila na kar

Explore this song