Roman script

shehnaiyo ke mele lage hai

shehnaiyo ke mele lage hai

aayi hai aisi raat

machega hungama, hungama

machega hungama

apno se apne aaj milenge

apno se apne aaj milenge

hogi khushi ki har baat

machega hungama, hungama

machega hungama

waah bhai waah hey, waah bhai waah hey

yaad hai kuch, suno ji yaad hai kuch

shadi se pahle ki baate

wo pahli mulakat

yaad hai kuch, kaho na yaad hai kuch

na din ka, na raat ka

na pahli mulakat ka

humko yaad hai janeman

kissa pahli raat ka

pahli raat ka kissa hi

jivan ka ban jaye hissa

usne life bana li

jisne bhi le li ye shiksha

pahli raat hi sabse pyari

umar chhupi hai isme sari

ghar me uski chale hukumat

jisne is din billi maari

oye hoye hoye kya formula hai

puchhe biwi girlfriend hai

kah do na ji the end hai

shadi se pahle ke chakkar

bhul ke mat batlana

warna pyare banke rah jaoge

tum ghanchakkar

waah bhai waah waah, waah bhai waah hey

are miya tum kya jano hum batate hai

kissa pahli raat ka apni hum sunate hai

o ki hoya paaji

jis din humne padha nikaah

dil se us din nikli aah

hum the shayar bade ajib

biwi ke jab gaye karib

gazalo ke fire kar baithe

ha number one shayar ban baithe

ho gayi biwi aag babula

pal me shayari sari bhula

boli mujhko raas na aaye

tere kalam dawat

bhaad me jaye shayari

aur aisi jajbaat

pahli raat ka pyar na jane

main nahi karti baat, aur ab

ab biwi maayke bhejni ho to

kaam shayari aaye

main shayari padhta hu, wo maayke chali jaye

waah bhai waah hey, waah bhai waah hey

apna taur tarika accha

humne jo kuch sikha accha

apna taur tarika accha

humne jo kuch sikha accha

suraj ek, chanda ek, dharti ek

hum bhi ek

humne socha ye pyar, kyu kare shadi

kyu jhak maate

baithe bithaye paanv pe apne

kaahe ko kulhadi maare

apna to din raat ye hai rawaiya

apna to din raat ye hai rawaiya

bhaiya charo taraf

charo taraf gopiya bich me kanhaiya

charo taraf gopiya bich me kanhaiya

waah bhai waah hey, waah bhai waah hey

jis gulshan me phul nahi

kuch us gulshan se bhi puchho

jo ghar dulhan se khali ho

us aangan se bhi puchho

kya hota hai jivan

ehsaas ye kaisa hota hai

jivansathi paas na ho to

jivan kaisa hota hai

aaj hai yaar ki silver jubliee

dil mera khushi me rota hai

jiska jivansathi

uska jag me sabkuch hota hai

waah bhai waah hey, waah bhai waah

kabhi soch ke dar lagta hai

kya kya, kya bhai kya

kabhi soch ke dar lagta hai

kabhi khushi bhi hoti hai

lekin lagta hai ke shadi

chiz buri nahi hoti hai

hum bhi khushi manayenge

hum bhi khushi manayenge

ek din dulhan ghar layenge

shehnaiyo ke mele lage hai

aayi hai aisi raat

macha hai hungama, hungama

macha hai hungama

apno se apne aaj mile hai

apno se apne aaj mile hai

hogi khushi ki har baat

macha hai hungama, hungama

macha hai hungama

Explore this song