Roman script

kabhi divaar hilti hai 

kabhi dar kaanp jaataa hai

ali kaa naam sun kar ab bhi 

khaibar kaanp jaataa hai

baghair hubb-e-ali mudda nahi milta

ibadato kaa bhi hargiz sila nahi milta

khuda ke bando suno ghaur se khuda ki qasam

jise ali nahi milte use khuda nahi milta

did haider ki ibaadat hai ye farmaan-e-nabi

hai ali ruh-e-nabi jism-e-nabi jaan-e-nabi

gul-e-tathir ali haq ki shamshir ali

piiro ke piir ali

dast-e-ilaa kyu na ho sher-e-khuda ali

maqsuud har aata hai shah-e-la-fata ali

jis tarah ek zaat-e-muhammad hai be-misaal

paidaa hua na hogaa koi dusra ali

bedam yahi to paanch hainmaqsuud-e-qaaynaat

khairunisa hasan hussain mustafa ali

haq ali ali ali ali maula ali

Explore this song