Roman script

shabnam bhi dekhi shola bhi dekha

shabnam bhi dekhi shola bhi dekha

par tera jalwa bas bas bas haan

phulo ko dekha bulbul ko dekha

phulo ko dekha bulbul ko dekha

par tera jalwa bas bas bas haan

chalna bhi katil rukna bhi katil

uth ke najar ka jhukna bhi katil

kam nahi jalim teri ada bhi

tu hai kayamat tu hai bala bhi

itrana dekha sharmana dekha

par tera jalwa bas bas bas haan

shabnam bhi dekhi shola bhi dekha

par tera jalwa bas bas bas haan

aankho se chalke masti hi masti

hamne luta di apni hasti

parwane par hai shama diwani 

dekho ji dekho ulti kahani

afsna dekha maykhana dekha

par tera jalwa bas bas bas haan

shabnam bhi dekhi shola bhi dekha

par tera jalwa bas bas bas haan

lahrake jab tu mahfil me aaye

jhume surahi paymana gaye

uf allah allah kafir nigahe

shan se mare jisko bhi chahe

parwana dekha diwana dekha

par tera jalwa bas bas bas haan

shabnam bhi dekhi shola bhi dekha

pucho na hamse kya kya dekha

par tera jalwa bas bas bas haan

Explore this song