Roman script

shabab hi shabab hai ye rat lajwab hai

husn hai hizab me ishk pe nakab hai

idhar udhar yaha waha hai mastiyo ke karwa

mastiyo ke karwa

umad rahi hai badaliya chamak rahi hai bijliya

chamak rahi hai bijliya

najar najar sawal hai najar najar jawab hai

shabab hi shabab hai ye rat lajwab hai

husn hai hizab me ishk pe nakab hai

kadam kadam pe hai nasha 

kisi ko kuch nahi pata kisi ko kuch nahi pata

wo kon tha kidhar gaya 

abhi abhi jo pas tha abhi abhi jo pas tha

ajeeb si ye nind hai ajeeb sa ye khwab hai

shabab hi shabab hai ye rat lajwab hai

husn hai hizab me ishk pe nakab hai

koi kisi pe mar mita koi kisi ka ho gaya

koi kisi ka ho gaya

hai ishk ki muwane jo pa gaya so kho gaya

jo pa gaya so kho gaya

hisab ki na puchiye ye bat behisab hai

shabab hi shabab hai ye rat lajwab hai

husn hai hizab me ishk pe nakab hai

Explore this song