Roman script

shaam-e-firaaq ab na puchh

aayi aur aake tal gayi

shaam-e-firaaq ab na puchh

aayi aur aake tal gayi

dil tha ke phir behal gaya

jaan thi ke phir sambhal gayi

shaam-e-firaaq ab na puchh

aayi aur aake tal gayi

bazme khayal mein tere

husn ki shama jal gayi

bazme khayal mein tere

husn ki shama jal gayi

dard ka chand bujh gaya

hijar ki raat dhal gayi

shaam-e-firaaq ab na puchh

aayi aur aake tal gayi

jab tujhe yaad kar liya

subah mehak mehak uthi

jab tujhe yaad kar liya

subah mehak mehak uthi

jab tera gham jaga diya

raat machal machal gayi

shaam-e-firaaq ab na puchh

aayi aur aake tal gayi

dil se to har muhaam mila

karke chale the saaf hum

dil se to har muhaam mila

karke chale the saaf hum

kehne mein unke samne

baat badal badal gayi

shaam-e-firaaq ab na puchh

aayi aur aake tal gayi

aakhir ae shab ke humsafar

faisle na jaane kya hue

aakhir ae shab ke humsafar

faisle na jaane kya hue

reh gayi kis jagah saba

subah kidhar nikal gayi

shaam-e-firaaq ab na puchh

aayi aur aake tal gayi

dil tha ke phir behal gaya

jaan thi ke phir sambhal gayi

shaam-e-firaaq ab na puchh

aayi aur aake tal gayi

Explore this song