Roman script

seene me aag aankho me paani liye huye 

baithi hu dil me daag-e-jawani liye hue

nigaaho me andhera chha raha hai

ab to aa jaao 

nigaaho me andhera chha raha hai

ab to aa jaao 

tadap kar dil hame tadpa raha hai 

ab to aa jaao 

tumhaari raah kab tak raat din dekha kare koi 

kisi ka dam labo par aa raha hai 

ab to aa jaao 

kisi ka dam labo par aa raha hai 

ab to aa jaao 

nigaaho me andhera chhaa raha hai 

ab to aa jaao 

bahut tarsa chuke, tadpa chuke 

thukra chuke humko 

jamaana bhi hame thukara raha hai 

ab to aa jaao 

jamaana bhi hame thukara raha hai 

ab to aa jaao 

nigaaho me andhera chhaa raha hai 

ab to aa jaao 

tumhaari deed ko ataki huyi hai jaan aankho me 

marij-e-gham jaha se ja raha hai 

ab to aa jaao 

marij-e-gham jaha se ja raha hai 

ab to aa jaao 

nigaaho me andhera chhaa raha hai 

ab to aa jaao

Explore this song