Roman script

kehti hai antaratma doshi hai maana papa

kehti hai antaratma doshi hai maana papa

kehti hai antaratma doshi hai maana papa

ilzaam kyun unpe lagaya gaya 

muzarim kyun unhe hi banaya gaya

bhagwan tu hi ye bata, kyun di unko ye sazaa

apne maata pita ki main ladali

mamta ke aanchal me thi main to pali

apne maata pita ki main ladali

mamta ke aanchal me thi main to pali

kyun maara mujhe, sanghara mujhe

maut ke ghat kyun utara mujhe

berehmi se julm hai dhaya gaya 

bhagwan tu hi ye bata, kyun di unako ye sazaa

mujhko is baat ka ehsaas hai

wo nirdosh hai mujhe vishwas hai

mujhko is baat ka ehsaas hai

wo nirdosh hai mujhe vishwas hai

imaan pe chalu insaaf karu

tum karo ye faisala mukt unko karo

bewajah kyun unka sar jhukaya gaya

bhagwan tu hi ye bata, kyun di unako ye sazaa

Explore this song

Song video

Watch on YouTube