Roman script

sawan aaye ya na aaye 

jiya jab jhume sawan hai

sawan aaye ya na aaye 

jiya jab jhume sawan hai sawan aaye

saaj mile jab dil se dil ke

vahi samay man-bhawan hai 

vahi samay man-bhawan 

bhawan sawan aaye

jab se piya tu naino me aaya

prem ke rang me rach gayi kaaya

bhago me van me neel gagan me

sab me hai tere roop ki chaya

tu hai mere sang to hardam

khushi ki aavan hai 

khushi ki aavan-aavan aavan hai 

sawan aaye ya na aaye 

jiya jab jhume sawan hai sawan aaye

aankhiya majire man ek taara

inme baaje naam tihaara

hanste gaate jivan bite

aant na ho ye geet humara

mausam aaya sukh pawan ka

dukho ki jaawan-jaawan hai

dukho ki jaawan-jawan jaawan hai

sawan aaye ya na aaye 

jiya jab jhume sawan hai

sawan aaye ya na aaye

Explore this song