Roman script

sarzamin-e-hindustaan assalaam vaalekum 
mera naam baadshaah khaan hai
ishq mera mazhab muhabbat mera imaan hai
muhabbat jiske liye shiri aur farahaad ne
pahaado ka sina chir kar dudh ki nahar baha di
jiske liye majnu ne sahra ki khaak chhaani hai
aaj bhi jindaa hai tavaarikh ban kar
usi muhabbat ke liye 
kaabul chhod  paavan hindostaan ki sarzami se
muhabbat ki khair maagane aaya hai
aajamaaish kathin hai, imtihaan mushkil hai
lekin hausala bulad hai
lekin jit hamesha mohabbat ki huyi hai
sadiyo se yahi hota aaya hai
roshni agar khuda ko manjur to 
akhiyo ke chiraag jalte hai
khuda gavaah khuda gavaah

Song details