Roman script

sapno ka chanda aaya 

rimjhim si khushiya laya

takdir hamari jagi 

rangin zamana hai

sapno ka chanda aaya 

rimjhim si khushiya laya

takdir hamari jagi 

rangin zamana hai

sapno ka chanda aaya

nain kamal ki pyas bujhi 

aaj suhagan rat sazi 

jhum utha neelam ka gagan

pyar bhari shahnai bazi 

shahnai bazi

jhun jhun payal baaje

madhosh tamannaa nache 

gaati hai aaj bahare

har phul diwana hai

sapno ka chanda aaya 

rimjhim si khushiya laya

takdir hamari jagi 

rangin zamana hai

sapno ka chanda aaya

man chahe mahman ho tum

armano ki jaan ho tum

ab na tumhe jane dungi 

chahat ka iman ho tum 

iman ho tum taaro ka dil bhi dole 

ye raat nashili bole o phir hamare dil ki 

ab kuch to pana hai 

sapno ka chanda aaya 

rimjhim si khushiya laya 

takdir hamari jagi 

rangin zamana hai 

sapno ka chanda aaya

samne aaya pyar mera

rang bhara sansazr mera

dil ki nayi manjil pe piya

aaj hua didar tera didar tera

ab jana nahi dil ke armano ki mehfil se 

o chain churane wale kya rup suhana hai

sapno ka chanda aaya 

rimjhim si khushiya laya

takdir hamari jagi rangin zamana hai

Explore this song