Roman script

sapna jahan, dastak na de chokhat thi woh, aankhein meri

baaton se thi, taadaad mein khamoshiyaan, jaana meri

jab se pade, tere kadam chalne lagi, duniya meri

mere dil mein, jagah khuda ki khali thi

dekha wahan pe, aaj tera chehra hai

main bhatakta hua, saa ek badal hoon

jo tere aasmaan pe aake thehra hai

tu rooh hai toh main kaaya banu

ta-umr main tera saaya banu

kehde toh ban jaaun be-raag main

kehde toh main teri maaya banu

tu saaz hai, main raagni

tu raat hai, main chandni

mere dil mein, jagah khuda ki khali bhi

dekha wahan pe, aaj tera chehra hai

main bhatakta huya, safed badal hoon

jo tere aasmaan pe aake thehra hai

hum pe sitaaron ka ehsaan ho

poora, adhoora har armaan ho

ek doosre se jo baandhe hamein

baahon mein nanhi si ek jaan ho

aabaad ho, chota sa ghar lagna sake kisi ki nazar

mere dil mein, jagah khuda ki khali bhi

dekha wahan pe, aaj tera chehra hai

main bhatakta huya, safed badal hoon

jo tere aasmaan pe aake thehra hai.

Explore this song