Roman script

saamne aati ho tum toh jaise 

ishq ka deedar hota hain

tum chali jaati ho to tumhare 

aane ka intezaar hota hain

tumhara muskurana 

khwaab mein bhi aa jana

ankh se ankh churake 

dil ko chura le jana

mujhko tumse har pal 

jaise pehli pehli baar

pyar hota hain saamne aate ho tum to 

jaise ishq ka deedar hota hain 

tum chale jaati ho 

to tumhare aane ka intejaar hota hain

dil mein kuch aise chupke se aao

in dhadkano ko ho na khabar ke

jab tum pukaro tanhaiyon mein

aawaz dil ki aaye idhar bhi

tham na paye kabhi pyar se silsiley

ek hi saans dono jismo mein chale

tum chali jaati ho to tumhare 

aane ka intezaar hota hain

ek ajab si shokhi hain dil mein

saanso mein khusbu sabse juda hain

khwabo ki aankhein neendo ko tumne

palko se apni jabse chua hain

tere aaghosh mein dil ki hai har khushi

har khushi mein chupi zindagi yeh meri 

saamne aate ho tum toh jaise 

ishq ka deedar hota hain

tum chale jaate ho to tumhare 

aane ka intezaar hota hain

tumhara gungunana khayalo mein kho jaana

mujhe baaho mein lekar aasman tak ho aana

pal pal kya mujhko toh tumse 

har pal mein sau baar pyar hota hain

saamne aati ho tum toh jaise 

ishq ka deedar hota hain

tum chali jaati ho to tumhare 

aane ka intzaar hota hain

Explore this song