Roman script

krodh ke bojh ko mann pe uthaye kaahe chalta hai prani

kshama jo shatru ko bhi kar de, wahi mukt hai wahi gyani

samay ka pahiya chalta hai, din dhalta hai, raat aati hai

raat me jab ek chhota sa nanha sa dipak jalta hai

uski jarasi jyot sahi, par dur se usko dekh koi barso ka musafir

girte girte sambhalta hai

maine jaate jaate jaana kaun hai apna kaun paraya

bas tu hi mera apna hai, bas tune pyar nibhaya

kaam krodh aur lobh main dhaj kar ja sakta hu

tujhko chahu bhi to main kaise bhula sakta hu

tera pyar bhi ek bandhan hai, tu hi bata 

kya main mukti pa sakta hu

tu nahi jaanta tu mera ab hai kya

tujhko hu dekhta to dil kaise pighalta hai

samay ka pahiya chalta hai, din dhalta hai, raat aati hai

din me soya, raat aayi to ab jaaga soya kab tha

ab kya suraj dhundhe pagale dub gaya suraj kab ka

barso pehle jo thi ik nadi pyar ki beh gayi wo nadi

haath ab tu kya malata hai

samay ka pahiya chalta hai, din dhalta hai, raat aati hai

raat me jab ek chhota sa nanha sa dipak jalta hai

uski jarasi jyot sahi, par dur se usako dekh koi barso ka musafir

girte girte sambhalta hai

samay ka pahiya chalta hai, din dhalta hai, raat aati hai

aasma me jagmag taare, meri aankh me jhilmil aansu

kaha chhupa hai koi ishara to de de tu

Explore this song