Roman script

salamat raho tum

salamat raho tum ke mujhko jami se

utha kar sare aasma rakh diya hai

tujhe kya khabar mere khwabo ko tune

saja kar kaha se kaha rakh diya hai

salamat raho tum

roshan diye ho tere jaha ke

bhatakti akeli mai jane kaha pe

mai to ye janu o bholi bhali

kadam tune rakha hai jabse yaha pe

badal ke kisi ka jaha rakh diya hai

salamat raho tum ke mujhko jami se

utha kar sare aasman rakh diya hai

salamat raho tum

aaja ke tujhpe is bekhudi ne

bahare luta du mai aaj is khushi me

ye pyar ke phul barsa ke tumne

meri jindgani ki viran gali me

mahakta hua gum sita rakh diya hai

tujhe kya khabar mere khwabo ko tune

saja kar kaha se kaha rakh diya hai

salamat raho tum

aaj ek najar ho unke bhi upar

mujhe bhul baithe jo diwane ho kar

aur ek tum ho humdard mere

ke apno se badh kar ho begane hokar

kiya mere jine ka saman tumne

kabhi jo na utre wo ahsaan tumne

mere sar pe meharban rakh diya hai

tujhe kya khabar mere khwabo ko tune

saja kar kaha se kaha rakh diya hai

salamat raho tum ke mujhko jami se

utha kar sare aasman rakh diya hai

tujhe kya khabar mere khwabo ko tune

saja kar kaha se kaha rakh diya hai

salamat raho tum

Explore this song