Roman script

sakhi hariday me halchal si hone lagi

ho meri ankhiya do chanchal kyu hone lagi

gaya bachpan ka raag din aaya wo aaj

banno kangna ab jhum singar se

paw dabte hai paw dabte hai yowan ki dhar se

koi kano me gungunane laga

dekho bhawra bhi hamko satane laga

dank marega chor mat kar itna shor

koi aayega teri pukar se paw dabte hai

paw dabte hai yowan ki dhar se

kanushka priya sakuntla nahi annchal sakhi sambhal

rup dekh dusyant ka haye hui behal

ye tapasini wo raja fir bhi anhoni ho gayi

puran yowana partham milan ki

partham ditye me kho gayi

raja ne bhi ghar or jag ki jara na ki parwah

shakuntla ke sang kiya wan me gandharbh vivah

kar vivah dekar vachan nipan kiya parashthan

kintu srap wash bhul gaye wo shakuntla ka dhyan

bhul gaye kyu deke vachan tan ko jalaye virah agan

ya chale aao ya mujhko bulao darshan bin akulaye nain

bhul gaye kyu dil ke vachan bhul gaye bhul gaye

bhul gaye kyu bhul gaye

virahta ki vyakul virhan sah na saki judai

priyam gada ne maat gotami ko ye katha sunai

maa ki mamta bhari jo ankhiya karuna se bhar aayi

pita ladli sakun ko dete aaj vidai

rone lagi aasam sakhiya saheli 

rone lagi bagiya ki chameli 

hirna bhi roye jiske sang sada kheli

chhod hame aaj kaha chali ho akeli

kintu na koi kah sake pita ke ji ka haal

hatho me aashish hai hariday me hai bojhal

naino me utha man me milan ki aaas

ma ke sang shakuntla pahuchi piya ke paas

badal gaye dushyant narip vidhi ka azab vidhan

durwasha ke sharap wash sake nahi pahchan

kon ho kaha se aa rahi ajan nar tum

kya batau jab bhulte ho hamara pyar tum

pyar kaisa pyar pyar kaisa pyar jhuth kholti juban 

tum dekh lo diya hua anguthi ka nishan tum 

mai na janta tumhe ye kaisa nari dans hai 

mere garbh me tumhare vans ka hi ansh hai 

ja apne ghar sundari khadi yaha kyu msan

ja kalankani piya nahi to ham bhi tumhare kon

tut pado akash fato dharti maa 

mujhe sambhalo god me kiya hai adharam

din bite or rate biti khub vidhata ne bair kiya

banke abhagan fir bhi suhagan ne balak ko janam diya

putar bharat ko dekh kar magan ho gayi maa

yahi bharat jis nam se bharat hai vikhyat

aray putar ye surya chandar ke tej se bhi harta tha

sinho ke jabdo ko chir ke dant gina karta tha

ek diwas dushyant bhul kar marg yaha jo aaye

balak kon vichitar jankar devi ji se takraye

aur wahi shakuntla hile hariday ke tar

dekh anguthi yad aa gaya wo unka pyar

sar se sab durbhagya hata or mita andhera ghor

Explore this song