Roman script

haa sachchaai chhup nahi sakati, banaavat ke usulo se

ki khushabu aa nahi sakati, kabhi kaagaz ke phulo se !

main intazar karu, ye dil nisaar karu

main tujhse pyaar karu, o magar kaise aitabaar karu

jhutha hai tera vada !

vada tera vada, vada tera vada 

vada tera vada, vada tera vada

vade pe tere mara gaya, banda main sidha sadha

vada teraa vada, vada tera vada

vada teraa vada, vada tera vada

tumhari zulf hai ya, sadak ka mod hai ye 

tumhari aankh hai ya, nashe ka tod hai ye?

kaha kab kya kisi se, tumhe kuch yaad nahi

hamare samane hai, hamare baad nahi

kitaab-e-husn mein to, vafa ka naam nahi, are !

mohabbat tum karogi tumhara kaam nahi !

mohabbat tum karogi tumhara kaam nahi !

akadati khub ho tum, meri mahabub ho tum 

akadati khub ho tum, meri mahabub ho tum

nigaah-e-gair se bhi, magar manasub ho tum

kisi shaayar se puchho, gazal ho ya rubai

bhari hai shayari me, tumhari bevafai

ho ! daaman me tere phul hai kam, aur kante hai zyada

vada tera vada, vada tera vada 

vada tera vada, vada tera vada 

vade pe tere mara gaya, banda main sidha saadha

vada tera vada, vada tera vada 

vada tera vada, vada tera vada

tarane janati hai, fasane janati hai

ka_i dil todane ke, bahane janati hai

kahi pe soz hai tu, kahi pe saaz hai tu

jise samajha na koi, vahi ek raaz hai tu

kabhi tu ruth baithi, kabhi tu muskarai, are !

kisi se ki mohabbat, kisi se bevafai !

kisi se ki mohabbat, kisi se bevafai !

udaye hosh tauba, teri aankhe sharabi 

udaye hosh tauba, teri aankhe sharabi

zamaane me hui hai, inhi se har kharabi

bulaye chhanv koi, pukare dhup koi

tera ho rag koi, tera ho rup koi

ho ! kuch phark nahi naam tera, raziya ho ya radha !!

vada tera vada, vada tera vada 

vada tera vada, vada tera vada

vade pe tere mara gaya, banda main sidha sadha

vada tera vada, vada tera vada 

vada tera vada, vada tera vada

Explore this song