Roman script

sabak aisa padha diya tune

dil se sab kuch bhula diya tune 

sabak aisa padha diya tune

dil se sab kuch bhula diya tune 

lakh dene ka ek dena hai

o o o lakh dene ka ek dena hai

dil-e-bemuda diya tune

betlab jo mila mila mujhko

betlab jo mila mila mujhko

begaraz jo diya diya tune

sabak aisa padha diya tune

dil se sab kuch bhula diya tune

mujh gunahgaar ko jo bakhsh diya 

mujh gunahgaar ko jo bakhsh diya 

to jahanum ko kya diya tune

daag ko kaun dene wala tha

jo diya ai khuda diya tune

sabak aisa sabak aisa 

sabak aisa sabak aisa 

sabak aisa padha diya tune

dil se sab kuch bhula diya tune

Explore this song