Roman script

sabaa se ye kah do ke kaliyaan bichhaae

vo dekho, vo jaan-e-bahaar aa rahaa hai

churaa le gayaa jo in aankho ki ninde

vahi leke dil kaa qaraar aa rahaa hai

sabaa se ye kah do 

ye kaun aa gayaa dil ko kartaa ishaare

ke mahki fazaa, muskuraae nazaare

qadam badhke tu chum le ai mohabbat

ke dil ko bahut, unpe pyaar aa rahaa hai

sabaa se ye kah do ke kaliyaan bichhaae

vo dekho, vo jaan-e-bahaar aa rahaa hai

sabaa se ye kah do 

ye maanaa ke mahafil me ajaan hai tu

magar jab bhi tujhse nigaahe mili hai

mujhe ye lagaa hai payaam-e-mohabbat

nazar se teri baar-baar aa raha hai

sabaa se ye kah do ke kaliyaan bichhaae

vo dekho, vo jaan-e-bahaar aa rahaa hai

sabaa se ye kah do 

ye rangin fasaanaa koi mujhse puchhe

ke tu kaisaa pyara hai kitnaa hasi hai

sunaa thaa hasi jinpe karte hai jaadu

tujhe dekhkar aitbaar aa rahaa hai

sabaa se ye kah do ke kaliyaan bichhaae

vo dekho, vo jaan-e-bahaar aa rahaa hai

sabaa se ye kah do

Explore this song