Roman script

saye saye bitey dino ke saye gehre wo lot aaye 
laye laye sehra ke jaye rukhe zasbat sath laye
patjhado mein jhad gayi hai apni har khushi 
zehar sasein phookti hai har pal bebasi 
khushrang si subha khushbu bhari  saba 
tohfe mein de rakhi thi humko zindagi ne 
kyu waqt bewajah unhe chin le gaya 
zehmat bhi na ki sochne ki ye kisi ne 
kisi ne kisi ne 
raakh hue hai jal ke hamare ghonsle 
chot khaye jakhmi hai saare honsle 
kyu na gire patte naye fir chanaro pe 
hum nadiyan kyu na bhare daraaro pe 
khush rang si subah khushbu bhari  saba
tohfe mein de rakhi thi humko zindagi ne 
kyu waqt bewajah unhe chin legaya 
zehmat bhi na ki sochne ki ye kisi ne 
kyo waqt bewajah unhe chin lagaya 
zehmat bhi na ki sochne ki ye kisi ne kisi ne

Song details

Song video

Watch on YouTube