Roman script

aurat hai ek phul zamane ke chaman me

uska yahi makam hai har ek watan me

maalik ne tujhko mard banaya hai isliye

maali ki tarah uski hifajat ho chaman me

sathi hota hai sath nibhane ko

preet sajane ko, sath nibhane ko

sathi hota hai sath nibhane ko

aurat ka pyar tajib ban gaya

jinda ye husn-o-ishq ki tasveer ban gaya

duniya me safal aadmi jo bhi huzur hai

pichhe koi na koi bhi aurat jurur hai

sathi hota hai sath nibhane ko

preet sajane ko, sath nibhane ko

sathi hota hai sath nibhane ko

putla hai galtiyo ka jab har ek aadmi

insaan hai to bhul kabhi usse bhi hogi

tu usko maaf karke jo insaaf karega

teri bhi har khata ko khuda maaf karega

sathi hota hai sath nibhane ko

preet sajane ko, sath nibhane ko

sathi hota hai sath nibhane ko

Explore this song