Roman script

mohabbat palko pe kitne 
haseen khwab sajati hai
phulo se mehekte khwab
sitaro se jagmagate khwab
shabnam se baraste khwab
fir kabhi yu bhi hota hai 
ki palko ki daliyon se 
khwabon ke sare parinde 
ud jate hai noor ankhe viran si reh jati hai
sare sapne kahi kho gaye
haye hum kya se kya ho gaye
dil se tanhai ka dard jeeta
kya kahe hum pe kya kya na beeta
dil se tanhai ka dard jeeta
kya kahe hum pe kya kya na beeta
tum na aaye magar jo gaye
haye hum kya se kya ho gaye
tumne humse kahi thi jo baate
unko dohrati hai gam ki raate
tumse milne ke din to gaye
haye hum kya se kya ho gaye
sare sapne kahi kho gaye
haye hum kya se kya ho gaye
koi shikva na koi gila hai
tumse kab humko ye gam mila hai
ha naseeb apne hi so gaye
haye hum kya se kya ho gaye
sare sapne kahi kho gaye
haye hum kya se kya ho gaye

Song details

Song video

Watch on YouTube