Roman script

saawariya saawariya mai to hui baawariya

tune man moh liya saawariya ho

saawariya saawariya mai to hui baawariya

tune man moh liya saawariya ho

uljha saa ye man hai, sulga sa ye tan hai

sapno ka saavan hai, naino ka aangan hai

chhalke man gaagariya saawariya ho, saawariya ho

saawariya saawariya mai to hui baawariya

tune man moh liya saawariya ho

jo tu yu paas aaya hai, jo tu yu dil pe chhaya hai

to maine kya paya hai kaise kahu ha

kahi dhadkan ki kaliya hai, kahi sapno ki galiya hai

jo man me rangraliya hai kaise kahu

tu jo mujhe aise bahkaaye

kabhi kabhi mujhe to badi laaj si aaye

bhuli hu mai jaise apni dagriya

jab se hai dekhi maine prem-nagariya, prem-nagariya

saawariya saawariya mai to hui baawariya

tune man moh liya saawariya hoa

tu jo mila mujhe to ye sara sama badal gaya

khilane lage phul se meri raah me

phir yu laga mujhe ki ye dharti nai hui

naya ambar hua teri aur meri chaah me

chanchal hawa tarana koi gaaye

nadiya bhi koi kahani kahti jaaye

jabse mili sajna tujhse najriya

kho gai hai sudh-budh ki mujhse gathriya

saawariya saawariya

saawariya saawariya mai to hui baawariya

tune man moh liya saawariya ho

Explore this song