Roman script

sahas ke aasma par

vishwas ki jami par

sahas ke aasma par

vishwas ki jami par

karmo ke daane khakar

ujle kaale par failakar

samay ka panchhi udta jaye

samay ka panchhi udta jaye

samay ka panchhi udta jaye

samay ka panchhi udta jaye

ek nanha deep hai jivan

duniya tufani aandhi

himmat ka tel hai isme

jale aatma ki baati

sawan barse, bhado barse

maush ki sardi , jeth ki garmi

sahta jaye, jalta jaye

samay ka panchhi udta jaye

samay ka panchhi udta jaye

samay ka panchhi udta jaye

samay ka panchhi udta jaye

yash tap, yash labh aur hani

sab vidhi ke hath hai bande

nahi kuch bhi bsa me tere

tu chhod de gorakh dhandhe

pal bhar ki na khabar hai humko

kyu sau baras ki chinta tujhko

kaal ka pahiya chalta jaye

kaal ka pahiya chalta jaye

samay ka panchhi udta jaye

samay ka panchhi udta jaye

samay ka panchhi udta jaye

ek rangmanch hai duniya

kathputli hai hum sare

hatho me dor hai uske

wo chahe jaisa nachaye

sur bhi uska, taal bhi uski

shabd bhi uske, lay bhi uski

koi sune, koi gaaye

koi sune, koi gaaye

samay ka panchhi udta jaye

samay ka panchhi udta jaye

samay ka panchhi udta jaye

jisko hai bharosa us par

use kabhi aanch na aaye

karam ka lekha kisne padha

wahi maare, wahi jeelaye

dhup bhi aaye, chhanv bhi aaye

nahi samajh kuch tere aaye

jo aaye wo jaye

jo aaye wo jaye

samay ka panchhi udta jaye

samay ka panchhi udta jaye

samay ka panchhi udta jaye

samay ka panchhi udta jaye

samay ka panchhi udta jaye

samay ka panchhi udta jaye

samay ka panchhi udta jaye

Explore this song